puchhi na chashm-e-tar ki na aah-e-rasa ki baat
pūchhī na chashm-e-tar kī na āh-e-rasā kī baat
karte rahe vo mujh se bas āb-o-havā kī baat
kyā baat maiñ se baat nikaltī chalī ga.ī
thā mudda'ā yahī ki na ho mudda'ā kī baat
rasm-o-rah-e-jahāñ kī sifārish rahī magar
phir bhī to aane paa.ī na ahl-e-vafā kī baat
kyā rasm-e-iltifāt zamāne se uTh ga.ī
sab kī zabāñ pe hai sitam-e-nā-ravā kī baat
tūfāñ kā ḳhatra sun ke na kar ḳhauf is qadar
āḳhir ḳhudā kī baat nahīñ nāḳhudā kī baat
goyā 'asad' hai dil kī zabāñ dil kā aa.ina
kis darja saaf hotī hai ahl-e-safā kī baat
puchhi na chashm-e-tar ki na aah-e-rasa ki baat
karte rahe wo mujh se bas aab-o-hawa ki baat
kya baat main se baat nikalti chali gai
tha mudda'a yahi ki na ho mudda'a ki baat
rasm-o-rah-e-jahan ki sifarish rahi magar
phir bhi to aane pai na ahl-e-wafa ki baat
kya rasm-e-iltifat zamane se uTh gai
sab ki zaban pe hai sitam-e-na-rawa ki baat
tufan ka KHatra sun ke na kar KHauf is qadar
aaKHir KHuda ki baat nahin naKHuda ki baat
goya 'asad' hai dil ki zaban dil ka aaina
kis darja saf hoti hai ahl-e-safa ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.