puchho na shab-e-hijran kis tarh bitai hai
pūchho na shab-e-hijrāñ kis tarh bitā.ī hai
ik sham' jalā.ī hai ik sham' bujhā.ī hai
sau baar mileñge ham sau baar judā hoñge
kyoñ biich meñ duniyā ne dīvār uThā.ī hai
ai yād-e-ġham-e-jānāñ itnā to batā mujh ko
kyoñ chain churāyā hai kyoñ niiñd uḌaa.ī hai
lillāh hañsī roko lau dene lage aañsū
bahte hue paanī meñ kyoñ aag lagā.ī hai
mumkin hī nahīñ us ko nafrat ho 'nazar' tum se
shāyad kisī dushman ne ye baat uḌaa.ī hai
puchho na shab-e-hijran kis tarh bitai hai
ek sham' jalai hai ek sham' bujhai hai
sau bar milenge hum sau bar juda honge
kyon bich mein duniya ne diwar uThai hai
ai yaad-e-gham-e-jaanan itna to bata mujh ko
kyon chain churaya hai kyon nind uDai hai
lillah hansi roko lau dene lage aansu
bahte hue pani mein kyon aag lagai hai
mumkin hi nahin us ko nafrat ho 'nazar' tum se
shayad kisi dushman ne ye baat uDai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.