puchhta kaun hai Darta hai tu ai yar abas
puchhta kaun hai Darta hai tu ai yar abas
Bayan Ahsanullah Khan
MORE BYBayan Ahsanullah Khan
pūchhtā kaun hai Dartā hai tū ai yaar abas
qatl karne se mire hai tujhe inkār abas
kyā mirī aañkh adam biich lagī thī ai charḳh
kiyā us ḳhvāb se tū ne mujhe bedār abas
vasl hī us kā davā hai mirī bīmārī ko
aur kuchh karte haiñ tadbīr ye ġham-ḳhvār abas
yaar tanhā hai phir aisā nahīñ milne kā vaqt
sharm hotī hai merī māna-e-guftār abas
aur bhī un ne 'bayāñ' zulm kuchh afzūd kiyā
kiyā us shoḳh se tiiñ ishq kā iz.hār abas
puchhta kaun hai Darta hai tu ai yar abas
qatl karne se mere hai tujhe inkar abas
kya meri aankh adam bich lagi thi ai charKH
kiya us KHwab se tu ne mujhe bedar abas
wasl hi us ka dawa hai meri bimari ko
aur kuchh karte hain tadbir ye gham-KHwar abas
yar tanha hai phir aisa nahin milne ka waqt
sharm hoti hai meri mana-e-guftar abas
aur bhi un ne 'bayan' zulm kuchh afzud kiya
kiya us shoKH se tin ishq ka izhaar abas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.