puchhta kaun wafa se uski
pūchhtā kaun vafā se us kī
mar ga.e log balā se us kī
dekho kis taur sañvar jaatā hai
mujh sā sahrā bhī ghaTā se us kī
yaar ham ḳhāk-ba-sar ḳhāk-nashīñ
is fazā meñ haiñ havā se us kī
ab koī sub.h jagā.egī kyā
ham ko uThnā hai sadā se us kī
lauT jā.egī bahār us ke saath
sabz mausam hai fazā se us kī
zikr karte haiñ qazā se us kā
ham jo jiite haiñ davā se us kī
zaḳhm ke phuul khile haiñ tan meñ
lahlahātā huuñ havā se us kī
puchhta kaun wafa se us ki
mar gae log bala se us ki
dekho kis taur sanwar jata hai
mujh sa sahra bhi ghaTa se us ki
yar hum KHak-ba-sar KHak-nashin
is faza mein hain hawa se us ki
ab koi subh jagaegi kya
hum ko uThna hai sada se us ki
lauT jaegi bahaar us ke sath
sabz mausam hai faza se us ki
zikr karte hain qaza se us ka
hum jo jite hain dawa se us ki
zaKHm ke phul khile hain tan mein
lahlahata hun hawa se us ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.