puchhte hain sab humse dil luTa ke kya paya
pūchhte haiñ sab ham se dil luTā ke kyā paayā
ġham sā gauhar-e-yaktā tum sā dilrubā paayā
vahshat aur sūnā-pan apnī zāt-e-tanhā.ī
aaj mai-kade ko bhī ḳhāna-e-ḳhudā paayā
tum ko kho ke ham ne to ġham kī daulateñ pā liiñ
ham ko kho ke par tum ne ye batāo kyā paayā
saikḌoñ kī jaañ chhūTī terī teġh to TuuTī
ham ko sar kā ġham hī kyā ham ne ḳhūñ-bahā paayā
ai 'hasan-kamāl’ āḳhir ye bhī kyā bhalā kam hai
be-hisī kī duniyā meñ dil dukhā huā paayā
puchhte hain sab hum se dil luTa ke kya paya
gham sa gauhar-e-yakta tum sa dilruba paya
wahshat aur suna-pan apni zat-e-tanhai
aaj mai-kade ko bhi KHana-e-KHuda paya
tum ko kho ke hum ne to gham ki daulaten pa lin
hum ko kho ke par tum ne ye batao kya paya
saikDon ki jaan chhuTi teri tegh to TuTi
hum ko sar ka gham hi kya hum ne KHun-baha paya
ai 'hasan-kamal’ aaKHir ye bhi kya bhala kam hai
be-hisi ki duniya mein dil dukha hua paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.