puchhte hain wo hamein dard kahan uThta hai
pūchhte haiñ vo hameñ dard kahāñ uThtā hai
ik jagah ho to batā duuñ ki yahāñ uThtā hai
bazm-e-hastī se to uThne kā hai dastūr qadīm
dukh baḌā hotā hai jab koī javāñ uThtā hai
jam ke ban jaatā hai ik aur falak zer-e-falak
hasratoñ kā jo mire dil se dhuāñ uThtā hai
luuñ kisī kā maiñ sahārā ye gavāra bhī nahīñ
baiTh jaatā huuñ vahīñ dard jahāñ uThtā hai
roz kuTiyā se bahut raat ga.e terī 'jalāl'
koī dīvāna hai jo nālā-kunāñ uThtā hai
puchhte hain wo hamein dard kahan uThta hai
ek jagah ho to bata dun ki yahan uThta hai
bazm-e-hasti se to uThne ka hai dastur qadim
dukh baDa hota hai jab koi jawan uThta hai
jam ke ban jata hai ek aur falak zer-e-falak
hasraton ka jo mere dil se dhuan uThta hai
lun kisi ka main sahaara ye gawara bhi nahin
baiTh jata hun wahin dard jahan uThta hai
roz kuTiya se bahut raat gae teri 'jalal'
koi diwana hai jo nala-kunan uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.