puchhte hain wo hamein kya chahiye
pūchhte haiñ vo hameñ kyā chāhiye
sādgī to un kī dekhā chāhiye
ḳhālī haath un kī galī meñ jaa.eñ kyā
choT khāne ko kaleja chāhiye
māne-e-taslīm agar pindār hai
but ye ka.aba se nikālā chāhiye
va.ada-e-taqrīb-e-fardā marhabā
kuchh to jiine kā bahānā chāhiye
buḳhl se yaañ chāhiye ḳhauf-e-ḳhudā
kam hai us kāfir ko jitnā chāhiye
dil meñ hai shauq-e-mudārāt-e-junūñ
āgahī mahv-e-tamāshā chāhiye
shādmānī kī tamanna kyā kareñ
ġham bhī kab itnā hai jitnā chāhiye
puchhte hain wo hamein kya chahiye
sadgi to un ki dekha chahiye
KHali hath un ki gali mein jaen kya
choT khane ko kaleja chahiye
mane-e-taslim agar pindar hai
but ye kaba se nikala chahiye
wada-e-taqrib-e-farda marhaba
kuchh to jine ka bahana chahiye
buKHl se yan chahiye KHauf-e-KHuda
kam hai us kafir ko jitna chahiye
dil mein hai shauq-e-mudaraat-e-junun
aagahi mahw-e-tamasha chahiye
shadmani ki tamanna kya karen
gham bhi kab itna hai jitna chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.