puchhte hain ye shaeri kya hai
pūchhte haiñ ye shā.erī kyā hai
haa.e aisī bhī sādgī kyā hai
kyā kisī bāġhbāñ se ye pūchhā
phuul kyā shai hai ye kalī kyā hai
ye sabā kis balā kā naam hai aur
ye ridā gul pe shabnamī kyā hai
fasl-e-gul se kabhī kiyā daryāft
chaar sū ye harī harī kyā hai
pūchh lete kabhī dhanak se ki ye
saat rañgoñ kī sāhirī kyā hai
puchhte hain ye shaeri kya hai
hae aisi bhi sadgi kya hai
kya kisi baghban se ye puchha
phul kya shai hai ye kali kya hai
ye saba kis bala ka nam hai aur
ye rida gul pe shabnami kya hai
fasl-e-gul se kabhi kiya daryaft
chaar su ye hari hari kya hai
puchh lete kabhi dhanak se ki ye
sat rangon ki sahiri kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.