puchhte ho ishq kya hai
pūchhte ho ishq kyā hai
ik zarūrī hādisa hai
hai duā bas lab pe sab ke
aur dil meñ badduā hai
bin tumhāre merā jīvan
ek adhūrā vāqi.a hai
ye milī to jashn kaisā
zindagī to ik sazā hai
kuchh nahīñ badlā hai is meñ
saal ye bhī ġham-zada hai
aaTh sau din baad us ko
ishq dhokā lag rahā hai
hañsne vaale ro rahe haiñ
jaane vaalā jā chukā hai
haath meñ rakkhī hai cigarette
jalne ko to dil jalā hai
puchhte ho ishq kya hai
ek zaruri hadisa hai
hai dua bas lab pe sab ke
aur dil mein baddua hai
bin tumhaare mera jiwan
ek adhura waqia hai
ye mili to jashn kaisa
zindagi to ek saza hai
kuchh nahin badla hai is mein
sal ye bhi gham-zada hai
aaTh sau din baad us ko
ishq dhoka lag raha hai
hansne wale ro rahe hain
jaane wala ja chuka hai
hath mein rakkhi hai cigarette
jalne ko to dil jala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.