puchhte kya ho mere tum dil-e-diwane se
pūchhte kyā ho mire tum dil-e-dīvāne se
'ishq ke ramz ko pūchho kisī farzāne se
jī nikal jāvegā zālim mirā ab jaane se
yaañ na aanā hī bhalā thā tire is aane se
roz ke dukh se chhaTā raat ke jalne se rahā
dostī sham' ne kī dosto parvāne se
dil bajā lāvegā jo kuchh ise kiije irshād
ye to bāhar nahīñ kuchh aap ke farmāne se
yuuñ yakāyak jo hue us ke jigar ke TukḌe
nahīñ mā'lūm kahā zulf ne kyā shāne se
zabt lāzim hai jab hī tak ki na ho aañkh meñ ashk
ab to bhar aayā hai dil ashk ke bhar aane se
ro le dil khol ke tū is ghaḌī 'āsif' apnā
nahīñ ghuT jāvegā dam ashk ke pī jaane se
puchhte kya ho mere tum dil-e-diwane se
'ishq ke ramz ko puchho kisi farzane se
ji nikal jawega zalim mera ab jaane se
yan na aana hi bhala tha tere is aane se
roz ke dukh se chhaTa raat ke jalne se raha
dosti sham' ne ki dosto parwane se
dil baja lawega jo kuchh ise kije irshad
ye to bahar nahin kuchh aap ke farmane se
yun yakayak jo hue us ke jigar ke TukDe
nahin ma'lum kaha zulf ne kya shane se
zabt lazim hai jab hi tak ki na ho aankh mein ashk
ab to bhar aaya hai dil ashk ke bhar aane se
ro le dil khol ke tu is ghaDi 'asif' apna
nahin ghuT jawega dam ashk ke pi jaane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.