puchhte phirte hain ghar wale ye ghar kis ka hai
pūchhte phirte haiñ ghar vaale ye ghar kis kā hai
kaunsī bastī hai yaaro ye nagar kis kā hai
ghar ke āñgan meñ khilī dhuup ko bhī chhū na sakeñ
kaash samjhā.e koī mujh ko ye Dar kis kā hai
kashtiyāñ Daal ke tum chāhe tasallī kar lo
varna ye baat musallam hai bhañvar kis kā hai
muntazir jis ke haiñ har haath meñ tīkhe patthar
gar nahīñ merā to batlāo vo sar kis kā hai
marhala pahle to is vaqt kā ham tai kar leñ
baa'd meñ socheñge aage kā safar kis kā hai
mujh se kyā merā patā pūchh rahe ho yaaro
vo makāñ jis meñ hai dīvār na dar kis kā hai
aaj ke daur meñ 'ābid' ke alāva koī
vaqt kī raah meñ aḌ jaa.e jigar kis kā hai
puchhte phirte hain ghar wale ye ghar kis ka hai
kaunsi basti hai yaro ye nagar kis ka hai
ghar ke aangan mein khili dhup ko bhi chhu na saken
kash samjhae koi mujh ko ye Dar kis ka hai
kashtiyan Dal ke tum chahe tasalli kar lo
warna ye baat musallam hai bhanwar kis ka hai
muntazir jis ke hain har hath mein tikhe patthar
gar nahin mera to batlao wo sar kis ka hai
marhala pahle to is waqt ka hum tai kar len
ba'd mein sochenge aage ka safar kis ka hai
mujh se kya mera pata puchh rahe ho yaro
wo makan jis mein hai diwar na dar kis ka hai
aaj ke daur mein 'abid' ke alawa koi
waqt ki rah mein aD jae jigar kis ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.