pujne wale sabhi log hain farzane ko
pūjne vaale sabhī log haiñ farzāne ko
pūchhtā kaun hai is shahr meñ dīvāne ko
guftugū kūcha-o-bāzār kī le aate haiñ
jaane kyā log samajhte haiñ ḳhudā-ḳhāne ko
maiñ banāyā gayā īsār-o-vafā kī ḳhātir
terī taḳhlīq huī zulm-o-sitam Dhāne ko
ham se zī-fahm un āñkhoñ kī piyā karte haiñ
nā-samajh log chale jaate haiñ maiḳhāne ko
tum se bigḌī huī taqdīr hamārī na banī
ham to gulzār banā dete haiñ vīrāne ko
apnī ḳhātir koī sauġhāt na māñgī us ne
ḳhat meñ likkhā hai mujhe lauT ke aa jaane ko
us ne 'anjum' lab-o-ruḳhsār kī ra.anā.ī se
de diyā rang-e-haqīqat mire afsāne ko
pujne wale sabhi log hain farzane ko
puchhta kaun hai is shahr mein diwane ko
guftugu kucha-o-bazar ki le aate hain
jaane kya log samajhte hain KHuda-KHane ko
main banaya gaya isar-o-wafa ki KHatir
teri taKHliq hui zulm-o-sitam Dhane ko
hum se zi-fahm un aankhon ki piya karte hain
na-samajh log chale jate hain maiKHane ko
tum se bigDi hui taqdir hamari na bani
hum to gulzar bana dete hain virane ko
apni KHatir koi saughat na mangi us ne
KHat mein likkha hai mujhe lauT ke aa jaane ko
us ne 'anjum' lab-o-ruKHsar ki ranai se
de diya rang-e-haqiqat mere afsane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.