pure chand ki raat bhi ho
puure chāñd kī raat bhī ho
haat meñ terā haat bhī ho
jab maiñ bolūñ mahfil meñ
chup se behtar baat bhī ho
ishq ho apnī zaat to phir
us meñ kyūñkar maat bhī ho
sab kuchh tere bas meñ kab
marhūn-e-hālāt bhī ho
chāhat hai us kī buniyād
ḳhvāh koī sauġhāt bhī ho
safar ho jab tanhā.ī kā
umr se lambī raat bhī ho
dast-e-duā ke saath 'āmir'
āñkhoñ se barsāt bhī ho
pure chand ki raat bhi ho
hat mein tera hat bhi ho
jab main bolun mahfil mein
chup se behtar baat bhi ho
ishq ho apni zat to phir
us mein kyunkar mat bhi ho
sab kuchh tere bas mein kab
marhun-e-haalat bhi ho
chahat hai us ki buniyaad
KHwah koi saughat bhi ho
safar ho jab tanhai ka
umr se lambi raat bhi ho
dast-e-dua ke sath 'amir'
aankhon se barsat bhi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.