puure majme’ ko lā-javāb kiyā
husn par us ne jab ḳhitāb kiyā
'umr bhar phir nahīñ hue nākām
tū ne jis jis ko kāmyāb kiyā
tere jaate hī khul ga.iiñ āñkheñ
niiñd aadhī kī puurā ḳhvāb kiyā
haal achchhā thā ab talak merā
pūchh kar tū ne sab ḳharāb kiyā
ehtirāman sabhī ḳhutūt tire
jā ke sāhil pe ġharq-e-āb kiyā
sifr bachtā hai dil ke ḳhāne meñ
maiñ ne ḳhushiyoñ kā jab hisāb kiyā
shukr sad-shukr aisī ġhurbat kā
jis ne apnoñ ko be-naqāb kiyā
lag ga.ī us kī naukrī jis ne
jī-huzūr aur jī janāb kiyā
pure majme’ ko la-jawab kiya
husn par us ne jab KHitab kiya
'umr bhar phir nahin hue nakaam
tu ne jis jis ko kaamyab kiya
tere jate hi khul gain aankhen
nind aadhi ki pura KHwab kiya
haal achchha tha ab talak mera
puchh kar tu ne sab KHarab kiya
ehtiraman sabhi KHutut tere
ja ke sahil pe gharq-e-ab kiya
sifr bachta hai dil ke KHane mein
main ne KHushiyon ka jab hisab kiya
shukr sad-shukr aisi ghurbat ka
jis ne apnon ko be-naqab kiya
lag gai us ki naukri jis ne
ji-huzur aur ji janab kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.