Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pure qad se main khaDa hun samne aaega kya

Farooq Nazki

pure qad se main khaDa hun samne aaega kya

Farooq Nazki

MORE BYFarooq Nazki

    puure qad se maiñ khaḌā huuñ sāmne aa.egā kyā

    maiñ tirā saaya nahīñ huuñ mujh ko samjhā.egā kyā

    āñdhiyoñ par uḌ rahā hai jin parindoñ hujūm

    āsmāñ vus.atoñ se lauT kar aa.egā kyā

    ik na.e manzar ḳhāka āsmāñ par kyuuñ nahīñ

    chāñd apnī chāñdnī par yūñhī itrā.egā kyā

    fasl-e-gul ke ba.ad patjhaḌ yuuñ to ik ma.amūl hai

    ḳhauf ban kar phir dar-o-dīvār par chhā.egā kyā

    jānib-e-shahr-e-ġhazālāñ phir chalī shām-e-firāq

    dasht be-ḳhvābiyoñ rāzdāñ aa.egā kyā

    ḳhuun rotī safedī be-sadā sāzoñ shor

    be-sar-o-pā giit koī be-zabāñ gā.egā kyā

    hai ġhazal āzād goyā be-dar-o-dīvār ghar

    ham ko bhī is sinf-e-be-jā hunar aa.egā kyā

    pure qad se main khaDa hun samne aaega kya

    main tera saya nahin hun mujh ko samjhaega kya

    aandhiyon par uD raha hai jin parindon ka hujum

    aasman ki wusaton se lauT kar aaega kya

    ek nae manzar ka KHaka aasman par kyun nahin

    chand apni chandni par yunhi itraega kya

    fasl-e-gul ke baad patjhaD yun to ek mamul hai

    KHauf ban kar phir dar-o-diwar par chhaega kya

    jaanib-e-shahr-e-ghazalan phir chali sham-e-firaq

    dasht ki be-KHwabiyon ka raazdan aaega kya

    KHun ki roti safedi be-sada sazon ka shor

    be-sar-o-pa git koi be-zaban gaega kya

    hai ghazal aazad goya be-dar-o-diwar ghar

    hum ko bhi is sinf-e-be-ja ka hunar aaega kya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now