puurī himmat ke saath boleñge
jo sahī hai vo baat boleñge
sāhibo ham qalam ke beTe haiñ
kaise ham din ko raat boleñge
peḌ ke paas āñdhiyāñ rakh do
peḌ ke paat paat boleñge
taaj ko merī nazroñ se dekho
jo kaTe the vo haath boleñge
un ko kursī pe baiThne to do
vo bhī phir vāhiyāt boleñge
mulk ke hāl-chāl kaise haiñ
ḳhud-ba-ḳhud vāqi.āt boleñge
shabd ko naap taul kar kahnā
arth bhī us ke saath boleñge
puri himmat ke sath bolenge
jo sahi hai wo baat bolenge
sahibo hum qalam ke beTe hain
kaise hum din ko raat bolenge
peD ke pas aandhiyan rakh do
peD ke pat pat bolenge
taj ko meri nazron se dekho
jo kaTe the wo hath bolenge
un ko kursi pe baiThne to do
wo bhi phir wahiyat bolenge
mulk ke haal-chaal kaise hain
KHud-ba-KHud waqiat bolenge
shabd ko nap taul kar kahna
arth bhi us ke sath bolenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.