pyar bhara jab tan-man mein
pyaar bharā jab tan-man meñ
phuul khile tab āñgan meñ
TuuT ke barsīñ āñkheñ bhī
jab vo na aa.e sāvan meñ
jaan laboñ par aa.ī hai
der na kar ab aavan meñ
dil ne jaane kyā dekhā
us nir-mohī sājan meñ
ruuTh na jaa.e pardesī
is sāvan man-bhāvan meñ
sab rishte kho jaate haiñ
pyaar ke is kadlī ban meñ
'shabnam' aañsū motī haiñ
bhar le apne dāman meñ
pyar bhara jab tan-man mein
phul khile tab aangan mein
TuT ke barsin aankhen bhi
jab wo na aae sawan mein
jaan labon par aai hai
der na kar ab aawan mein
dil ne jaane kya dekha
us nir-mohi sajan mein
ruTh na jae pardesi
is sawan man-bhawan mein
sab rishte kho jate hain
pyar ke is kadli ban mein
'shabnam' aansu moti hain
bhar le apne daman mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.