pyar dular ke sae sae chala karo
pyaar dulār ke saa.e saa.e chalā karo
jalte logo kuchh to apnā bhalā karo
pyaar kī aañch nikhār kā baa.is bantī hai
jalnā hai to pyaar kī aag meñ jalā karo
soch tumhārī kundan ban kar damkegī
kisī kī taptī yādoñ meñ tum Dhalā karo
peḌ yahāñ kuchh sadā-bahār bhī hote haiñ
mausam mausam tum bhī phūlā-phalā karo
koī manzar paañv kī zanjīr nahīñ
vaadī vaadī āzādī se chalā karo
is meñ haiñ kuchh badnāmī ke pahlū bhī
jhūTe chhalbal se mat kisī ko chhalā karo
nañgā kar detī hai ġham ko hañsī 'qatīl'
chehre par ye ġhāza kam kam karā karo
pyar dular ke sae sae chala karo
jalte logo kuchh to apna bhala karo
pyar ki aanch nikhaar ka bais banti hai
jalna hai to pyar ki aag mein jala karo
soch tumhaari kundan ban kar damkegi
kisi ki tapti yaadon mein tum Dhala karo
peD yahan kuchh sada-bahaar bhi hote hain
mausam mausam tum bhi phula-phala karo
koi manzar panw ki zanjir nahin
wadi wadi aazadi se chala karo
is mein hain kuchh badnami ke pahlu bhi
jhuTe chhalbal se mat kisi ko chhala karo
nanga kar deti hai gham ko hansi 'qatil'
chehre par ye ghaza kam kam kara karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.