pyar har kisi ka jo aadmi kama paya
pyaar har kisī kā jo aadmī kamā paayā
lutf jiine kā aslī vo hī bas uThā paayā
yuuñ to sab banā lekin bas isī kā ronā hai
aadmī nahīñ ḳhud ko aadmī banā paayā
ġham mujhe diyā aisā zindagī ne tohfe meñ
qalb kī tijorī meñ jo nahīñ samā paayā
uljhe uljhe rahte haiñ sab inhīñ savāloñ meñ
zindagī meñ kyā khoyā zindagī meñ kyā paayā
hai na.ī umangoñ se bhar gayā merā dāman
pyaar kā tire jab se dil ne aasrā paayā
toḌne kī koshish meñ rāt-din rahā lekin
hausla kabhī 'hīrā' ġham nahīñ Digā paayā
pyar har kisi ka jo aadmi kama paya
lutf jine ka asli wo hi bas uTha paya
yun to sab bana lekin bas isi ka rona hai
aadmi nahin KHud ko aadmi bana paya
gham mujhe diya aisa zindagi ne tohfe mein
qalb ki tijori mein jo nahin sama paya
uljhe uljhe rahte hain sab inhin sawalon mein
zindagi mein kya khoya zindagi mein kya paya
hai nai umangon se bhar gaya mera daman
pyar ka tere jab se dil ne aasra paya
toDne ki koshish mein raat-din raha lekin
hausla kabhi 'hira' gham nahin Diga paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.