pyar ho baad-e-sahar ki chheD-KHani ki tarah
pyaar ho bād-e-sahar kī chheḌ-ḳhāni kī tarah
zindagānī aise hogī zindagānī kī tarah
kis kaleje se sañbhāle rakkhā hai apnā vujūd
maañ jo hai beTe ke ghar meñ naukrānī kī tarah
kārvāñ ke dard-o-ġham kī ham shikāyat kyā kareñ
rahnumā jab hai balā-e-āsmānī kī tarah
hādsoñ ne ziist kī saarī latāfat chhīn lī
ab nahīñ us kā takallum gul-fishānī kī tarah
dhuup sahrā kī hameñ taklīf detī hai bahut
bhā.iyoñ kī dostoñ kī bad-gumānī kī tarah
bebasī meñ dil hai aise jaise farsūda ḳhayāl
jaañ hai ġhairat ke munāfī mehrbānī kī tarah
pyar ho baad-e-sahar ki chheD-KHani ki tarah
zindagani aise hogi zindagani ki tarah
kis kaleje se sanbhaale rakkha hai apna wujud
man jo hai beTe ke ghar mein naukrani ki tarah
karwan ke dard-o-gham ki hum shikayat kya karen
rahnuma jab hai bala-e-asmani ki tarah
hadson ne zist ki sari latafat chhin li
ab nahin us ka takallum gul-fishani ki tarah
dhup sahra ki hamein taklif deti hai bahut
bhaiyon ki doston ki bad-gumani ki tarah
bebasi mein dil hai aise jaise farsuda KHayal
jaan hai ghairat ke munafi mehrbani ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.