pyar ka hai KHiraj rahne do
pyaar ka hai ḳhirāj rahne do
dil ke zaḳhmoñ kī laaj rahne do
muñh na moḌo kabhī mohabbat se
apne sar par ye taaj rahne do
ham samajhte haiñ pyaar kī nazreñ
mat dikhāo mizāj rahne do
gulshan-e-zīst pe chaman vaalo
pyār-o-ulfat kā raaj rahne do
ishq se husn mat judā karnā
hai hasīñ imtizāj rahne do
ahl-e-hājat ke kaam kī ḳhātir
apnī har ehtiyāj rahne do
ālam-e-husn hai yahāñ 'aḳhtar'
dil kā har imtizāj rahne do
pyar ka hai KHiraj rahne do
dil ke zaKHmon ki laj rahne do
munh na moDo kabhi mohabbat se
apne sar par ye taj rahne do
hum samajhte hain pyar ki nazren
mat dikhao mizaj rahne do
gulshan-e-zist pe chaman walo
pyar-o-ulfat ka raj rahne do
ishq se husn mat juda karna
hai hasin imtizaj rahne do
ahl-e-hajat ke kaam ki KHatir
apni har ehtiyaj rahne do
aalam-e-husn hai yahan 'aKHtar'
dil ka har imtizaj rahne do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.