pyar ka aaj chalan dosto dushwar hai kyon
pyaar kā aaj chalan dosto dushvār hai kyoñ
aaj insān ḳhud insān se bezār hai kyoñ
aaj ke daur ne ye kaun sī karvaT lī hai
aaj ke daur meñ ma.asūm gunahgār hai kyoñ
be-gunāhoñ kā lahū shahr meñ arzāñ hī sahī
āsmāñ par bhī vahī rang numūdār hai kyoñ
maiñ to mar jaane ko tayyār huuñ dushman ke liye
merā dushman bhī magar marne ko tayyār hai kyoñ
kyā tire kūche hī kī den tarahdārī hai
tere kūche se jo guzrā vo tarah-dār hai kyoñ
pahle barsoñ meñ bhī sunñe ko na miltā thā ye naam
aaj hoñToñ pe har ik ke rasan-o-dār hai kyoñ
kyā ham is daur ko shub.hāt kā ik daur kaheñ
shak meñ Duubā huā har shaḳhs kā kirdār hai kyoñ
kyoñ ḳhulūs aur sadāqat se nahīñ kuchh hāsil
makr hī makr zamāne ko sazā-vār hai kyoñ
tere maiḳhāne ke faizān-o-karam sab taslīm
tere maiḳhāne kā har jaam nigūñ-sār hai kyoñ
kal tak us shoḳh kī yādoñ pe thā jiine kā madār
aaj us shoḳh kī har yaad girāñ-bār hai kyoñ
gosha-e-dil meñ bhī but-ḳhāne huā karte haiñ
'qādir' is baat se ab aap ko inkār hai kyoñ
pyar ka aaj chalan dosto dushwar hai kyon
aaj insan KHud insan se bezar hai kyon
aaj ke daur ne ye kaun si karwaT li hai
aaj ke daur mein masum gunahgar hai kyon
be-gunahon ka lahu shahr mein arzan hi sahi
aasman par bhi wahi rang numudar hai kyon
main to mar jaane ko tayyar hun dushman ke liye
mera dushman bhi magar marne ko tayyar hai kyon
kya tere kuche hi ki den tarahdari hai
tere kuche se jo guzra wo tarah-dar hai kyon
pahle barson mein bhi sunne ko na milta tha ye nam
aaj honTon pe har ek ke rasan-o-dar hai kyon
kya hum is daur ko shubhat ka ek daur kahen
shak mein Duba hua har shaKHs ka kirdar hai kyon
kyon KHulus aur sadaqat se nahin kuchh hasil
makr hi makr zamane ko saza-war hai kyon
tere maiKHane ke faizan-o-karam sab taslim
tere maiKHane ka har jam nigun-sar hai kyon
kal tak us shoKH ki yaadon pe tha jine ka madar
aaj us shoKH ki har yaad giran-bar hai kyon
gosha-e-dil mein bhi but-KHane hua karte hain
'qadir' is baat se ab aap ko inkar hai kyon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.