pyar ka abr khul ke barsa hai
pyaar kā abr khul ke barsā hai
TuuT kar maiñ ne tujh ko chāhā hai
is se baḌh kar judā.ī kyā hogī
ab to āñkhoñ se ḳhuun bahtā hai
shāyad ab phir kabhī na mil paa.eñ
maiñ ne ḳhvāboñ meñ tujh ko dekhā hai
ik kiran ko taras rahe haiñ ham
sehn-e-dil meñ baḌā añdherā hai
sab ko phūloñ kī aarzū hai 'niyāz'
kaun pattoñ se pyaar kartā hai
pyar ka abr khul ke barsa hai
TuT kar main ne tujh ko chaha hai
is se baDh kar judai kya hogi
ab to aankhon se KHun bahta hai
shayad ab phir kabhi na mil paen
main ne KHwabon mein tujh ko dekha hai
ek kiran ko taras rahe hain hum
sehn-e-dil mein baDa andhera hai
sab ko phulon ki aarzu hai 'niyaz'
kaun patton se pyar karta hai
- Book : Abr, Hawa aur Barish (Pg. 105)
- Author : Niyaz Hussain Lakhvira
- Publication : Mavaraa Publications (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.