pyar ka haq ada kare koi
pyaar kā haq adā kare koī
na kisī se daġhā kare koī
bhaa.ī ko bhaa.ī se mohabbat ho
aur na bichhḌe ḳhudā kare koī
apnā hī nafā dekhte haiñ sab
sab ke haq meñ duā kare koī
us ke ġham kā ilaaj kar denā
tum se jo iltijā kare koī
apne ġham meñ hai mubtalā duniyā
aaj kis kā bhalā kare koī
bhar ga.e zehn sab kasāfat se
dil ko kyā aa.ina kare koī
zaḳhm bharte nahīñ mire 'zākir'
to masīhā huā kare koī
pyar ka haq ada kare koi
na kisi se dagha kare koi
bhai ko bhai se mohabbat ho
aur na bichhDe KHuda kare koi
apna hi nafa dekhte hain sab
sab ke haq mein dua kare koi
us ke gham ka ilaj kar dena
tum se jo iltija kare koi
apne gham mein hai mubtala duniya
aaj kis ka bhala kare koi
bhar gae zehn sab kasafat se
dil ko kya aaina kare koi
zaKHm bharte nahin mere 'zakir'
to masiha hua kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.