pyar ka mere tu hisab to de
pyaar kā mere tū hisāb to de
mere mālik mujhe javāb to de
ḳhvāb ho jā.eñge haqīqat bhī
shiddat-e-ishq meñ shabāb to de
nuur chhalkegā terī ulfat kā
apnī chāhat kā āftāb to de
hai añdherā tire binā mujh meñ
apne chehre kā māhtāb to de
likh de ḳhushiyoñ se zindagī sab kī
'renū' ko vo qalam kitāb to de
pyar ka mere tu hisab to de
mere malik mujhe jawab to de
KHwab ho jaenge haqiqat bhi
shiddat-e-ishq mein shabab to de
nur chhalkega teri ulfat ka
apni chahat ka aaftab to de
hai andhera tere bina mujh mein
apne chehre ka mahtab to de
likh de KHushiyon se zindagi sab ki
'renu' ko wo qalam kitab to de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.