pyar ka pauda ek lagaya hai
pyaar kā paudā ik lagāyā hai
aur mohabbat kā din manāyā hai
dil meñ sab ke utar chukā hai vo
giit jo tum ne kal sunāyā hai
mujh pe ilzām aa gayā kaise
dil kisī aur ne churāyā hai
kaise dushman mujhe harā.eñge
sar pe maañ kī duā kā saaya hai
aaj phir tīrgī ke saa.e the
ik diyā aaj phir jalāyā hai
haar kar bhī ḳhushī huī 'ābid'
apne beTe ne hī harāyā hai
pyar ka pauda ek lagaya hai
aur mohabbat ka din manaya hai
dil mein sab ke utar chuka hai wo
git jo tum ne kal sunaya hai
mujh pe ilzam aa gaya kaise
dil kisi aur ne churaya hai
kaise dushman mujhe haraenge
sar pe man ki dua ka saya hai
aaj phir tirgi ke sae the
ek diya aaj phir jalaya hai
haar kar bhi KHushi hui 'abid'
apne beTe ne hi haraya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.