pyar ka rang aur gahra ho gaya
pyaar kā rañg aur gahrā ho gayā
us kā lahja mere jaisā ho gayā
ūñghtā rahtā hai shab bhar mere saath
kyā mirā kamra bhī būḌhā ho gayā
maiñ ne ghar chhoḌā to kyā ġham saath thā
ghar kā sannāTā akelā ho gayā
TūTte lamhe sadā dete rahe
vaqt jaise gūñgā bahrā ho gayā
thā jo zahrā umr bhar kā rāz-dāñ
chaa.e kī pyālī meñ us kā ho gayā
pyar ka rang aur gahra ho gaya
us ka lahja mere jaisa ho gaya
unghta rahta hai shab bhar mere sath
kya mera kamra bhi buDha ho gaya
main ne ghar chhoDa to kya gham sath tha
ghar ka sannaTa akela ho gaya
TuTte lamhe sada dete rahe
waqt jaise gunga bahra ho gaya
tha jo zahra umr bhar ka raaz-dan
chae ki pyali mein us ka ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.