pyar ka yun dastur nibhana paDta hai
pyaar kā yuuñ dastūr nibhānā paḌtā hai
qātil ko siine se lagānā paḌtā hai
duniyā ko pur-nūr banāne kī ḳhātir
apne ghar ko aag lagānā paḌtā hai
but-ḳhāne yūñhī ta.amīr nahīñ hote
patthar ko bhagvān banānā paḌtā hai
duniyā-dārī kī ḳhātir is duniyā kā
jaane kyā kyā naaz uThānā paḌtā hai
apne qātil kī ma.asūm nigāhoñ se
dil kā har ik zaḳhm chhupānā paḌtā hai
aisā bhī vaqt aatā hai sardārī par
añgāroñ ko phuul banānā paḌtā hai
aisā bhī hotā hai hijr kī rātoñ meñ
dīvāroñ ko haal sunānā paḌtā hai
jin galiyoñ meñ qatl hue armān 'valī'
un galiyoñ meñ aanā jaanā paḌtā hai
pyar ka yun dastur nibhana paDta hai
qatil ko sine se lagana paDta hai
duniya ko pur-nur banane ki KHatir
apne ghar ko aag lagana paDta hai
but-KHane yunhi tamir nahin hote
patthar ko bhagwan banana paDta hai
duniya-dari ki KHatir is duniya ka
jaane kya kya naz uThana paDta hai
apne qatil ki masum nigahon se
dil ka har ek zaKHm chhupana paDta hai
aisa bhi waqt aata hai sardari par
angaron ko phul banana paDta hai
aisa bhi hota hai hijr ki raaton mein
diwaron ko haal sunana paDta hai
jin galiyon mein qatl hue arman 'wali'
un galiyon mein aana jaana paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.