pyar kar paun main ab aisa nahin ho paunga
pyaar kar pā.ūñ maiñ ab aisā nahīñ ho pā.ūñgā
chāhtā to huuñ magar terā nahīñ ho pā.ūñgā
mujh sā duniyā meñ talāshe phir rahī ho to suno
ab maiñ ḳhud bhī chāhūñ to vaisā nahīñ ho pā.ūñgā
kūza-gar mujh ko banāte vaqt itnā dhyān rakh
maiñ binā mahbūb ke puurā nahīñ ho pā.ūñgā
baa'd maañ ke bhī maiñ pyārā to huuñ lākhoñ kā magar
ab kisī kī aañkh kā taara nahīñ ho pā.ūñgā
us ne jab chhoḌā thā merī 'umr thī ikkīs baras
tab se ikkīs kā huuñ maiñ būḌhā nahīñ ho pā.ūñgā
pyar kar paun main ab aisa nahin ho paunga
chahta to hun magar tera nahin ho paunga
mujh sa duniya mein talashe phir rahi ho to suno
ab main KHud bhi chahun to waisa nahin ho paunga
kuza-gar mujh ko banate waqt itna dhyan rakh
main bina mahbub ke pura nahin ho paunga
ba'd man ke bhi main pyara to hun lakhon ka magar
ab kisi ki aankh ka tara nahin ho paunga
us ne jab chhoDa tha meri 'umr thi ikkis baras
tab se ikkis ka hun main buDha nahin ho paunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.