pyar ke bandhan kaT rahe hain prem ka rishta toD rahe hain
pyar ke bandhan kaT rahe hain prem ka rishta toD rahe hain
Parkash Nath Parvez
MORE BYParkash Nath Parvez
pyaar ke bandhan kaaT rahe haiñ prem kā rishta toḌ rahe haiñ
shahr-e-mohabbat ke bāshinde shahr-e-mohabbat chhoḌ rahe haiñ
armānoñ ke rah-vāroñ ko jānib-e-duniyā moḌ rahe haiñ
ulfat kā dam bharne vaale ulfat kā dil toḌ rahe haiñ
itnā ham ko ilm nahīñ thā hijr ke sadme sahne hoñge
ye qat.an ehsās nahīñ thā kis se naata joḌ rahe haiñ
is bastī meñ rahnā basnā apne bas kī baat nahīñ hai
ḳhuddārī kī farmā.ish par shahr-e-mohabbat chhoḌ rahe haiñ
dekheñ apnī sarkash tauba saath hamārā detī bhī hai
aap to nafrat ke patthar par jām-e-mohabbat phoḌ rahe haiñ
ai 'parvez' ye duniyā vaale tadbīroñ se ġhāfil ho kar
qismat kī dahlīz pe nāhaq apne sar ko phoḌ rahe haiñ
pyar ke bandhan kaT rahe hain prem ka rishta toD rahe hain
shahr-e-mohabbat ke bashinde shahr-e-mohabbat chhoD rahe hain
armanon ke rah-waron ko jaanib-e-duniya moD rahe hain
ulfat ka dam bharne wale ulfat ka dil toD rahe hain
itna hum ko ilm nahin tha hijr ke sadme sahne honge
ye qatan ehsas nahin tha kis se nata joD rahe hain
is basti mein rahna basna apne bas ki baat nahin hai
KHuddari ki farmaish par shahr-e-mohabbat chhoD rahe hain
dekhen apni sarkash tauba sath hamara deti bhi hai
aap to nafrat ke patthar par jam-e-mohabbat phoD rahe hain
ai 'parwez' ye duniya wale tadbiron se ghafil ho kar
qismat ki dahliz pe nahaq apne sar ko phoD rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.