pyar ki har ek rasm ki jo matruk thi maine jari ki
pyaar kī har ik rasm ki jo matrūk thī maiñ ne jaarī kī
ishq-labāda tan par pahnā aur mohabbat taarī kī
maiñ ab shahr-e-ishq meñ kuchh qānūn banāne vaalā huuñ
ab us us kī ḳhair nahīñ hai jis jis ne ġhaddārī kī
pahle thoḌī bahut mohabbat kī ki kaisī hotī hai
par jab aslī chehra dekhā maiñ ne to phir saarī kī
jo bhī muḌ kar dekhegā vo patthar kā ho jā.egā
dekho dekho shahr meñ aa.e sannāTā aur tārīkī
ek janam meñ maiñ us kā thā ek janm meñ vo merā
ham ne kī har baar mohabbat lekin baarī baarī kī
ham sā ho to sāmne aa.e aadil aur insāf-pasand
dushman ko bhī ḳhuun rulāyā yāroñ se bhī yaarī kī
aisā pyaar thā ham donoñ meñ ki barsoñ lā-ilm rahe
us ne bhī kirdār nibhāyā maiñ ne bhī fankārī kī
baat to itnī sī hai vāpas jaane ko maiñ aayā thā
saañs uThā.ī umr sameTī chalne kī tayyārī kī
pyar ki har ek rasm ki jo matruk thi main ne jari ki
ishq-labaada tan par pahna aur mohabbat tari ki
main ab shahr-e-ishq mein kuchh qanun banane wala hun
ab us us ki KHair nahin hai jis jis ne ghaddari ki
pahle thoDi bahut mohabbat ki ki kaisi hoti hai
par jab asli chehra dekha main ne to phir sari ki
jo bhi muD kar dekhega wo patthar ka ho jaega
dekho dekho shahr mein aae sannaTa aur tariki
ek janam mein main us ka tha ek janm mein wo mera
hum ne ki har bar mohabbat lekin bari bari ki
hum sa ho to samne aae aadil aur insaf-pasand
dushman ko bhi KHun rulaya yaron se bhi yari ki
aisa pyar tha hum donon mein ki barson la-ilm rahe
us ne bhi kirdar nibhaya main ne bhi fankari ki
baat to itni si hai wapas jaane ko main aaya tha
sans uThai umr sameTi chalne ki tayyari ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.