pyar ki mashalen jalane se
pyaar kī mash.aleñ jalāne se
kaT ga.e ham bhare zamāne se
un ko fursat kabhī nahīñ miltī
mere sar tohmateñ lagāne se
koī nīñdeñ uThā ke le jaa.e
har na.ī shab mire sirhāne se
zaat phailī hai apnī sadiyoñ par
harf kī aabrū bachāne se
chaah kar bhī bachā nahīñ paa.e
shīsha-e-dil ko TuuT jaane se
har taraf raushnī huī 'naqqāsh'
ek ehsās ke jagāne se
pyar ki mashalen jalane se
kaT gae hum bhare zamane se
un ko fursat kabhi nahin milti
mere sar tohmaten lagane se
koi ninden uTha ke le jae
har nai shab mere sirhane se
zat phaili hai apni sadiyon par
harf ki aabru bachane se
chah kar bhi bacha nahin pae
shisha-e-dil ko TuT jaane se
har taraf raushni hui 'naqqash'
ek ehsas ke jagane se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.