pyaar kī piir banāne ke liye baiThā huuñ
dil kī jāgīr banāne ke liye baiThā huuñ
phir se maqsad koī darkār thā kuchh rangoñ ko
phir se tasvīr banāne ke liye baiThā huuñ
baḌī mushkil se milā hai mujhe korā kāġhaz
ḳhud ko tahrīr banāne ke liye baiThā huuñ
maiñ ne bhī siikh liyā hai ab asīrī kā hunar
maiñ bhī zanjīr banāne ke liye baiThā huuñ
kab se hoñToñ kī kamāñ le ke zabāñ baiThī hai
aur maiñ tiir banāne ke liye baiThā huuñ
jo mirī Dhaal banā jang meñ us kī ḳhātir
ab maiñ shamshīr banāne ke liye baiThā huuñ
merī taqdīr banāne ke liye baiThegā
jis kī taqdīr banāne ke liye baiThā huuñ
pyar ki pir banane ke liye baiTha hun
dil ki jagir banane ke liye baiTha hun
phir se maqsad koi darkar tha kuchh rangon ko
phir se taswir banane ke liye baiTha hun
baDi mushkil se mila hai mujhe kora kaghaz
KHud ko tahrir banane ke liye baiTha hun
main ne bhi sikh liya hai ab asiri ka hunar
main bhi zanjir banane ke liye baiTha hun
kab se honTon ki kaman le ke zaban baiThi hai
aur main tir banane ke liye baiTha hun
jo meri Dhaal bana jang mein us ki KHatir
ab main shamshir banane ke liye baiTha hun
meri taqdir banane ke liye baiThega
jis ki taqdir banane ke liye baiTha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.