pyar mein pakizgi thi wo zamana aur tha
pyaar meñ pākīzgī thī vo zamāna aur thā
jab mohabbat zindagī thī vo zamāna aur thā
har bashar ko ġham uThāne meñ maza aatā thā jab
ġham meñ bhī ik tāzgī thī vo zamāna aur thā
jaam par ham jaam piite the sharāb-e-nāb ke
ik musalsal tishnagī thī vo zamāna aur thā
ghūmte the ham bayābānoñ meñ gulshan kī tarah
kyā hasīñ āvārgī thī vo zamāna aur thā
justujū-e-'ishq meñ rahtā thā sargardāñ bahut
husn meñ jab sādgī thī vo zamāna aur thā
lutf thā 'sāqī' hamārī zindagī meñ jin dinoñ
maut bhī ik zindagī thī vo zamāna aur thā
pyar mein pakizgi thi wo zamana aur tha
jab mohabbat zindagi thi wo zamana aur tha
har bashar ko gham uThane mein maza aata tha jab
gham mein bhi ek tazgi thi wo zamana aur tha
jam par hum jam pite the sharab-e-nab ke
ek musalsal tishnagi thi wo zamana aur tha
ghumte the hum bayabanon mein gulshan ki tarah
kya hasin aawargi thi wo zamana aur tha
justuju-e-'ishq mein rahta tha sargardan bahut
husn mein jab sadgi thi wo zamana aur tha
lutf tha 'saqi' hamari zindagi mein jin dinon
maut bhi ek zindagi thi wo zamana aur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.