pyar mein tana-bana chalta rahta hai
pyaar meñ tānā-bānā chaltā rahtā hai
rūThnā aur manānā chaltā rahtā hai
va.ade aur irāde TuuTe rahte haiñ
piinā aur pilānā chaltā rahtā hai
na.ī-navelī kaliyāñ khiltī rahtī haiñ
phūloñ kā murjhānā chaltā rahtā hai
pyaar ke giit sunāte rahte haiñ bhañvre
kaliyoñ kā sharmānā chaltā rahtā hai
phūloñ kī rañgat do ik din chal paatī hai
ḳhushbū kā mahkānā chaltā rahtā hai
pyar mein tana-bana chalta rahta hai
ruThna aur manana chalta rahta hai
wade aur irade TuTe rahte hain
pina aur pilana chalta rahta hai
nai-naweli kaliyan khilti rahti hain
phulon ka murjhana chalta rahta hai
pyar ke git sunate rahte hain bhanwre
kaliyon ka sharmana chalta rahta hai
phulon ki rangat do ek din chal pati hai
KHushbu ka mahkana chalta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.