pyar mein zist mujhe ras kahan aai hai
pyaar meñ ziist mujhe raas kahāñ aa.ī hai
mere hisse meñ faqat āh-o-fuġhāñ aa.ī hai
yā-ḳhudā rakh le mirī pusht-panāhī kā bharam
sar chhupāne mire gulshan meñ ḳhizāñ aa.ī hai
bach ke jaatā hī nahīñ ‘ālam-e-fānī se koī
maut hī merī mujhe le ke yahāñ aa.ī hai
dauḌ paḌtā huuñ tirī samt har ik aahaT par
mujh ko lagtā hai ki āvāz-e-azāñ aa.ī hai
chāhtā huuñ ki kisī taur na ab aañkh khule
baa'd muddat ke mire ḳhvāb meñ maañ aa.ī hai
ye bhī mumkin hai mirī raah meñ hoñ māh-o-nujūm
jab bulāne ko mujhe kāhkashāñ aa.ī hai
aaj mausam kī navāzish kā huuñ mamnūn 'habīb'
ḳhushbu-e-yār liye bād-e-ravāñ aa.ī hai
pyar mein zist mujhe ras kahan aai hai
mere hisse mein faqat aah-o-fughan aai hai
ya-KHuda rakh le meri pusht-panahi ka bharam
sar chhupane mere gulshan mein KHizan aai hai
bach ke jata hi nahin ‘alam-e-fani se koi
maut hi meri mujhe le ke yahan aai hai
dauD paDta hun teri samt har ek aahaT par
mujh ko lagta hai ki aawaz-e-azan aai hai
chahta hun ki kisi taur na ab aankh khule
ba'd muddat ke mere KHwab mein man aai hai
ye bhi mumkin hai meri rah mein hon mah-o-nujum
jab bulane ko mujhe kahkashan aai hai
aaj mausam ki nawazish ka hun mamnun 'habib'
KHushbu-e-yar liye baad-e-rawan aai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.