pyar mujhko mila tera saughat mein
pyaar mujh ko milā terā sauġhāt meñ
jiit merī huī ishq kī maat meñ
apne hāthoñ ko tum do mire haath meñ
saath dene kā va.ada karo saath meñ
ye daraḳht itnī garmī tapan jhel kar
uTh khaḌe hoñge dobāra barsāt meñ
toḌ kar dil mirā vo bhī chalte bane
jin pe aayā thā dil ik mulāqāt meñ
nā bujheñge mire hausloñ ke charāġh
ai havāoñ zarā rah lo auqāt meñ
jaañ se pyāre the jo bhī tire 'muntazir'
vo ḳhafā ho ga.e bas zarā baat meñ
pyar mujh ko mila tera saughat mein
jit meri hui ishq ki mat mein
apne hathon ko tum do mere hath mein
sath dene ka wada karo sath mein
ye daraKHt itni garmi tapan jhel kar
uTh khaDe honge dobara barsat mein
toD kar dil mera wo bhi chalte bane
jin pe aaya tha dil ek mulaqat mein
na bujhenge mere hauslon ke charagh
ai hawaon zara rah lo auqat mein
jaan se pyare the jo bhi tere 'muntazir'
wo KHafa ho gae bas zara baat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.