pyar pane mein waqt lagta hai
pyaar paane meñ vaqt lagtā hai
dil churāne meñ vaqt lagtā hai
laakh uḌne ko āsmāñ ho magar
par chalāne meñ vaqt lagtā hai
in parindoñ ko ġhaur se dekho
ghar sajāne meñ vaqt lagtā hai
yaad ke vāste to album hai
bhuul jaane meñ vaqt lagtā hai
pattharoñ ko bhī pūjte rahiye
but banāne meñ vaqt lagtā hai
muskurāte raho sadā 'pīyūsh'
rone-gāne meñ vaqt lagtā hai
pyar pane mein waqt lagta hai
dil churane mein waqt lagta hai
lakh uDne ko aasman ho magar
par chalane mein waqt lagta hai
in parindon ko ghaur se dekho
ghar sajaane mein waqt lagta hai
yaad ke waste to album hai
bhul jaane mein waqt lagta hai
pattharon ko bhi pujte rahiye
but banane mein waqt lagta hai
muskuraate raho sada 'piyush'
rone-gane mein waqt lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.