pyas arman ki taDap dil ki ghuTan jazbaat ki
pyaas armāñ kī taḌap dil kī ghuTan jazbāt kī
jaane kyā kyā de ga.ī tohfe udāsī raat kī
lamha lamha zehn-o-dil ke fāsle baḌhte rahe
go ki dil rakhne ko aksar us ne mujh se baat kī
aadmī kī shakl meñ phirte haiñ vīrāne yahāñ
apne kāñdhoñ par uThā.e mayyateñ jazbāt kī
qahqahoñ ke rang chehre par bikhere to bahut
phir bhī yaaro kuchh ḳharāsheñ rah ga.iiñ sadmāt kī
ham ko hai is tarah ik va.ada shikan kā intizār
raah dekhe jis tarah taptī zamīñ barsāt kī
maut ko hañste hue ham to lagā leñge gale
par nahīñ ham ko gavāra saañs bhī ḳhairāt kī
āshiqī meñ ho ga.ī apnī ye hālat ai 'payām'
chup rahe to chup rahe aur baat kī to baat kī
pyas arman ki taDap dil ki ghuTan jazbaat ki
jaane kya kya de gai tohfe udasi raat ki
lamha lamha zehn-o-dil ke fasle baDhte rahe
go ki dil rakhne ko aksar us ne mujh se baat ki
aadmi ki shakl mein phirte hain virane yahan
apne kandhon par uThae mayyaten jazbaat ki
qahqahon ke rang chehre par bikhere to bahut
phir bhi yaro kuchh KHarashen rah gain sadmat ki
hum ko hai is tarah ek wada shikan ka intizar
rah dekhe jis tarah tapti zamin barsat ki
maut ko hanste hue hum to laga lenge gale
par nahin hum ko gawara sans bhi KHairaat ki
aashiqi mein ho gai apni ye haalat ai 'payam'
chup rahe to chup rahe aur baat ki to baat ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.