pyas hi pyas ka muqaddar hai
pyaas hī pyaas kā muqaddar hai
dasht ke ḳhvāb meñ samundar hai
yā mire azm meñ kamī hai kuchh
yā yaqīñ ḳhud gumān-parvar hai
sāhib-e-iḳhtiyār huuñ lekin
dā.era dā.ere ke andar hai
shukr hai ziist kī masāfat meñ
merā ik ik qadam zamīñ par hai
ḳhvāb hī zindagī kā mehvar thā
ḳhvāb hī zindagī kā mehvar hai
sang-zādoñ ko shīshagar likkhūñ
ye mirī dastaras se bāhar hai
aaj bhī hai laboñ pe ḳhāmoshī
'rāz' lekin ba-rang-e-dīgar hai
pyas hi pyas ka muqaddar hai
dasht ke KHwab mein samundar hai
ya mere azm mein kami hai kuchh
ya yaqin KHud guman-parwar hai
sahib-e-iKHtiyar hun lekin
daera daere ke andar hai
shukr hai zist ki masafat mein
mera ek ek qadam zamin par hai
KHwab hi zindagi ka mehwar tha
KHwab hi zindagi ka mehwar hai
sang-zadon ko shishagar likkhun
ye meri dastaras se bahar hai
aaj bhi hai labon pe KHamoshi
'raaz' lekin ba-rang-e-digar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.