pyas jo bujh na saki uski nishani hogi
pyaas jo bujh na sakī us kī nishānī hogī
ret par likkhī huī merī kahānī hogī
vaqt alfāz kā mafhūm badal detā hai
dekhte dekhte har baat purānī hogī
kar ga.ī jo mirī palkoñ ke sitāre raushan
vo bikharte hue sūraj kī nishānī hogī
phir añdhere meñ na kho jaa.e kahīñ us kī sadā
dil ke āñgan meñ na.ī sham' jalānī hogī
apne ḳhvāboñ kī tarah shāḳh se TuuTe hue phuul
chun rahī huuñ koī tasvīr sajānī hogī
be-zabāñ kar gayā mujh ko to savāloñ kā hujūm
zindagī aaj tujhe baat banānī hogī
kar rahī hai jo mire 'aks ko dhuñdlā 'sarvat'
maiñ ne duniyā kī koī baat na maanī hogī
pyas jo bujh na saki us ki nishani hogi
ret par likkhi hui meri kahani hogi
waqt alfaz ka mafhum badal deta hai
dekhte dekhte har baat purani hogi
kar gai jo meri palkon ke sitare raushan
wo bikharte hue suraj ki nishani hogi
phir andhere mein na kho jae kahin us ki sada
dil ke aangan mein nai sham' jalani hogi
apne KHwabon ki tarah shaKH se TuTe hue phul
chun rahi hun koi taswir sajaani hogi
be-zaban kar gaya mujh ko to sawalon ka hujum
zindagi aaj tujhe baat banani hogi
kar rahi hai jo mere 'aks ko dhundla 'sarwat'
main ne duniya ki koi baat na mani hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.