pyas ke phul khilen gham ki tamazat jage
pyaas ke phuul khileñ ġham kī tamāzat jaage
is baras fikr kī ik aur rivāyat jaage
koī tanhā.ī kā mātam bhī kare to kaise
ek dīvār bhī gūñje to qayāmat jaage
ruuh suqrāt kī hai jism hai tiryāk mirā
zahr pī luuñ to har ik samt halāvat jaage
merī ta.abīr kā sūraj bhī chamaknā sīkhe
ḳhvāb ke shahr meñ mere bhī to ḳhilqat jaage
raas kyoñ aa.e na phir jāgtā māhaul 'aḳhtar'
shahr so jaa.e to logoñ meñ adāvat jaage
pyas ke phul khilen gham ki tamazat jage
is baras fikr ki ek aur riwayat jage
koi tanhai ka matam bhi kare to kaise
ek diwar bhi gunje to qayamat jage
ruh suqraat ki hai jism hai tiryak mera
zahr pi lun to har ek samt halawat jage
meri tabir ka suraj bhi chamakna sikhe
KHwab ke shahr mein mere bhi to KHilqat jage
ras kyon aae na phir jagta mahaul 'aKHtar'
shahr so jae to logon mein adawat jage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.