pyas ki kaise lae tab koi
pyaas kī kaise laa.e taab koī
nahīñ dariyā to ho sarāb koī
zaḳhm-e-dil meñ jahāñ mahaktā hai
isī kyārī meñ thā gulāb koī
raat bajtī thī duur shahnā.ī
royā pī kar bahut sharāb koī
dil ko ghere haiñ rozgār ke ġham
raddī meñ kho ga.ī kitāb koī
kaun sā zaḳhm kis ne baḳhshā hai
is kā rakkhe kahāñ hisāb koī
phir maiñ sunñe lagā huuñ is dil kī
aane vaalā hai phir azaab koī
shab kī dahlīz par shafaq hai lahū
phir huā qatl āftāb koī
pyas ki kaise lae tab koi
nahin dariya to ho sarab koi
zaKHm-e-dil mein jahan mahakta hai
isi kyari mein tha gulab koi
raat bajti thi dur shahnai
roya pi kar bahut sharab koi
dil ko ghere hain rozgar ke gham
raddi mein kho gai kitab koi
kaun sa zaKHm kis ne baKHsha hai
is ka rakkhe kahan hisab koi
phir main sunne laga hun is dil ki
aane wala hai phir azab koi
shab ki dahliz par shafaq hai lahu
phir hua qatl aaftab koi
- Book : LAVA (Pg. 85)
- Author : JAVED AKHTAR
- Publication : RAJ KAMAL PARKASHAN (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.