pyas ki shiddat miTana hai mujhe
pyaas kī shiddat miTānā hai mujhe
ret meñ dariyā ugānā hai mujhe
kah rahe haiñ rāstoñ ke silsile
manziloñ ko bhuul jaanā hai mujhe
vaqt ne jin meñ likhā hai lafz-e-hijr
un lakīroñ ko miTānā hai mujhe
band kar shor-e-talātum ai nadī
zindagī kā giit gaanā hai mujhe
husn ke mahke gulāboñ se kabhī
aap kī ḳhushbū churānā hai mujhe
vaqt kī rusvā.iyoñ ke darmiyāñ
'ishq kā dāman bachānā hai mujhe
pyas ki shiddat miTana hai mujhe
ret mein dariya ugana hai mujhe
kah rahe hain raston ke silsile
manzilon ko bhul jaana hai mujhe
waqt ne jin mein likha hai lafz-e-hijr
un lakiron ko miTana hai mujhe
band kar shor-e-talatum ai nadi
zindagi ka git gana hai mujhe
husn ke mahke gulabon se kabhi
aap ki KHushbu churana hai mujhe
waqt ki ruswaiyon ke darmiyan
'ishq ka daman bachana hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.