pyas meri hai aab us ka hai
pyaas merī hai aab us kā hai
ret us kī sarāb us kā hai
raat aur niiñd hai mirī ḳhātir
ḳhvāb kā ehtisāb us kā hai
hai zamīñ merī aur lahū merā
merī āñkhoñ meñ ḳhvāb us kā hai
vo kabhī dhuup hai kabhī saayā
aañkh merī hijāb us kā hai
niiñd merī hai us kī āñkhoñ meñ
merī āñkhoñ meñ ḳhvāb us kā hai
sab savālāt chīḳh kī sūrat
chup hī rahnā javāb us kā hai
sher saare 'mujīb' mere haiñ
haañ faqat intiḳhāb us kā hai
pyas meri hai aab us ka hai
ret us ki sarab us ka hai
raat aur nind hai meri KHatir
KHwab ka ehtisab us ka hai
hai zamin meri aur lahu mera
meri aankhon mein KHwab us ka hai
wo kabhi dhup hai kabhi saya
aankh meri hijab us ka hai
nind meri hai us ki aankhon mein
meri aankhon mein KHwab us ka hai
sab sawalat chiKH ki surat
chup hi rahna jawab us ka hai
sher sare 'mujib' mere hain
han faqat intiKHab us ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.