pyas pi jae bhuk khae mujhe
pyaas pī jaa.e bhuuk khaa.e mujhe
kyā huā hai ye haa.e haa.e mujhe
sab ḳhudā ke liye ḳhamosh raho
kyā karūñ maiñ koī batā.e mujhe
jo mujhe yaad hai bhulā dūñgā
maiñ jise yaad huuñ bhulā.e mujhe
vo luTā.e mujhe ba-shauq magar
ek hī qist meñ luTā.e mujhe
dukh-bharī dāstāñ hai ye kah kar
vo mirī dāstāñ sunā.e mujhe
ek sūrat hai mere bachne kī
ek jhaTke meñ maut aa.e mujhe
pyas pi jae bhuk khae mujhe
kya hua hai ye hae hae mujhe
sab KHuda ke liye KHamosh raho
kya karun main koi batae mujhe
jo mujhe yaad hai bhula dunga
main jise yaad hun bhulae mujhe
wo luTae mujhe ba-shauq magar
ek hi qist mein luTae mujhe
dukh-bhari dastan hai ye kah kar
wo meri dastan sunae mujhe
ek surat hai mere bachne ki
ek jhaTke mein maut aae mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.