pyas se meri Dar gaya pani
pyaas se merī Dar gayā paanī
ho gayā ḳhushk mar gayā paanī
ab mujhe tairnā dikhāoge
ab to sar se guzar gayā paanī
un se ġhairat kā dars kyā lete
jin kī āñkhoñ kā mar gayā paanī
kis ne dāman yahāñ nichoḌā hai
ret meñ kaise bhar gayā paanī
kuchh na.e zaḳhm ho ga.e hāsil
jhiil meñ phir se bhar gayā paanī
dil ke kamre meñ ab bhī sīlan hai
jab ki kab kā utar gayā paanī
pyas se meri Dar gaya pani
ho gaya KHushk mar gaya pani
ab mujhe tairna dikhaoge
ab to sar se guzar gaya pani
un se ghairat ka dars kya lete
jin ki aankhon ka mar gaya pani
kis ne daman yahan nichoDa hai
ret mein kaise bhar gaya pani
kuchh nae zaKHm ho gae hasil
jhil mein phir se bhar gaya pani
dil ke kamre mein ab bhi silan hai
jab ki kab ka utar gaya pani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.