pyase chehron par lagte hain Khaali hath duaon ke
pyāse chehroñ par lagte haiñ ḳhālī haath duāoñ ke
phir bhī kaun samajh saktā hai dukh sūkhe dariyāoñ ke
jitnī baar likhā hai maiñ ne terā naam daraḳhtoñ par
tujh ko naam se jānte hoñge panchhī mere gaañv ke
apnī marzī karne vaale un kī baat nahīñ sunte
ham jaisoñ par chal jaate haiñ saare zor ḳhudāoñ ke
tere haath meñ ḳhud ko de kar nādānī kar baiThā huuñ
dhuup kī god meñ kab palte haiñ beTe ThanDī chhāñv ke
‘dānish-naqvī' dekh rahe haiñ hairānī aur hasrat se
us kī apnī do jhīleñ haiñ ham bande sahrāoñ ke
pyase chehron par lagte hain KHali hath duaon ke
phir bhi kaun samajh sakta hai dukh sukhe dariyaon ke
jitni bar likha hai main ne tera nam daraKHton par
tujh ko nam se jaante honge panchhi mere ganw ke
apni marzi karne wale un ki baat nahin sunte
hum jaison par chal jate hain sare zor KHudaon ke
tere hath mein KHud ko de kar nadani kar baiTha hun
dhup ki god mein kab palte hain beTe ThanDi chhanw ke
‘danish-naqwi' dekh rahe hain hairani aur hasrat se
us ki apni do jhilen hain hum bande sahraon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.