pyase honT kinare par ruk jate hain
pyāse hoñT kināre par ruk jaate haiñ
achchhā surḳh ishāre par ruk jaate haiñ
jab maiñ sat.h-e-āb pe chaltā phirtā huuñ
dekhne log kināre par ruk jaate haiñ
mere haath se sirf nahīñ ghaḌiyāl girā
kitne vaqt ḳhasāre par ruk jaate haiñ
ham aisoñ ke kaun muqābil aa.egā
ham tūfān ke dhāre par ruk jaate haiñ
phirne nikalte haiñ mahtāb nagar meñ ham
lekin ek sitāre par ruk jaate haiñ
uḌte uḌte gir paḌte haiñ aag ke beach
shaam ke vaqt hamāre par ruk jaate haiñ
gar tū jaatā hai mansūr-'āfāq' kahīñ
ik be-nām sahāre par ruk jaate haiñ
pyase honT kinare par ruk jate hain
achchha surKH ishaare par ruk jate hain
jab main sath-e-ab pe chalta phirta hun
dekhne log kinare par ruk jate hain
mere hath se sirf nahin ghaDiyal gira
kitne waqt KHasare par ruk jate hain
hum aison ke kaun muqabil aaega
hum tufan ke dhaare par ruk jate hain
phirne nikalte hain mahtab nagar mein hum
lekin ek sitare par ruk jate hain
uDte uDte gir paDte hain aag ke beach
sham ke waqt hamare par ruk jate hain
gar tu jata hai mansur-'afaq' kahin
ek be-nam sahaare par ruk jate hain
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 445)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.