pyase honTon se jab koi jhil na boli babu-ji
pyāse hoñToñ se jab koī jhiil na bolī bābū-jī
ham ne apne hī aañsū se aañkh bhigo lī bābū-jī
phir koī kaalā sapnā thā palkoñ ke darvāzoñ par
ham ne yuuñ hī Dar ke maare aañkh na kholī bābū-jī
bhūle se jāne-anjāne vaar na karnā tum un par
jin jin ke kandhoñ par hai ye priit kī Dolī bābū-jī
ye mat pūchho is duniyā ne kaun se ab tyauhār diye
dī ham ko andhī dīvālī ḳhuun kī holī bābū-jī
dil nikle hī mehnat ke ghar haath jo ham ne bheje the
vo hī ḳhālī le kar lauTe shaam ko jholī bābū-jī
ham par kitne zulm hue haiñ kaun batā.e duniyā ko
bandūqoñ meñ baaqī hai kyā ek bhī golī bābū-jī
vo bhī apnī āñkhoñ meñ nāḳhūn hī le kar baiThe the
dikhne meñ jin kī sūrat thī bahut hī bholī bābū-jī
ye kah kah kar kal ham ko saarī ḳhushiyāñ mil jā.eñgī
karte rahte ho kyuuñ ham se roz ThiTholī bābū-jī
us meñ kuchh TuuTe sapne the kuchh aaheñ kuchh aañsū the
jab jab bhī ham ne ye apnī jeb TaTolī bābū-jī
ab kī baar to rākhī par bhī bhī de na sakī kuchh bhayyā ko
ab us ke suune māthe par sirf hai rolī bābū-jī
pyase honTon se jab koi jhil na boli babu-ji
hum ne apne hi aansu se aankh bhigo li babu-ji
phir koi kala sapna tha palkon ke darwazon par
hum ne yun hi Dar ke mare aankh na kholi babu-ji
bhule se jaane-anjaane war na karna tum un par
jin jin ke kandhon par hai ye prit ki Doli babu-ji
ye mat puchho is duniya ne kaun se ab tyauhaar diye
di hum ko andhi diwali KHun ki holi babu-ji
dil nikle hi mehnat ke ghar hath jo hum ne bheje the
wo hi KHali le kar lauTe sham ko jholi babu-ji
hum par kitne zulm hue hain kaun batae duniya ko
banduqon mein baqi hai kya ek bhi goli babu-ji
wo bhi apni aankhon mein naKHun hi le kar baiThe the
dikhne mein jin ki surat thi bahut hi bholi babu-ji
ye kah kah kar kal hum ko sari KHushiyan mil jaengi
karte rahte ho kyun hum se roz ThiTholi babu-ji
us mein kuchh TuTe sapne the kuchh aahen kuchh aansu the
jab jab bhi hum ne ye apni jeb TaToli babu-ji
ab ki bar to rakhi par bhi bhi de na saki kuchh bhayya ko
ab us ke sune mathe par sirf hai roli babu-ji
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 109)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.